kabhi dil ko haar ke roz-o-shab gham-e-ishq mein jo ghula karun
kabhi dil ko haar ke roz-o-shab gham-e-ishq mein jo ghula karun
Salman Ghazi
MORE BYSalman Ghazi
kabhī dil ko haar ke roz-o-shab ġham-e-ishq meñ jo ghulā karūñ
mirā dil hai kyā koī saltanat jo ḳhirāj is kā adā karūñ
maiñ misāl-e-kirmak-e-shab banūñ jo jalūñ to nuur atā karūñ
ġham-e-zāt kā maiñ amiiñ nahīñ lav-e-sham.a par jo jalā karūñ
kabhī har usuul ko toḌ duuñ kabhī qatl apnī anā karūñ
ye ḳhilāf-e-adl hai is tarah maiñ mudām tujh se milā karūñ
tū asiir hai ġham-e-zāt kā milā faiz tujh se kabhī kabhī
maiñ rahīn-e-mausam-e-gul nahīñ jo bahār hī meñ khilā karūñ
tire qurb kī ye sa.ādateñ tirī ham-nashīnī kī lazzateñ
yahī aarzū hai qadam qadam tire naqsh par maiñ chalā karūñ
mirī zaat hai mirā imtihāñ mirā huzn merā shu.ūr hai
maiñ anā ke batn meñ qaid huuñ maiñ karūñ to kis kā gila karūñ
ye qusūr-e-nāla-e-shab nahīñ ki duā rahī mirī be-asar
ye pasand hai tujhe is qadar ki maiñ roz tujh se duā karūñ
mire kāsa-hā-e-gunāh jab tirī rahmatoñ se qarīb haiñ
maiñ batā na pā.ūñgā hāl-e-dil jo maiñ aaj tujh se hayā karūñ
jo tirā karam thā ajiib thā mire dil kā haal ajīb-tar
ye ḳhayāl kyoñ mire dil meñ phir tū karam kare maiñ ḳhatā karūñ
kabhi dil ko haar ke roz-o-shab gham-e-ishq mein jo ghula karun
mera dil hai kya koi saltanat jo KHiraj is ka ada karun
main misal-e-kirmak-e-shab banun jo jalun to nur ata karun
gham-e-zat ka main amin nahin law-e-shama par jo jala karun
kabhi har usul ko toD dun kabhi qatl apni ana karun
ye KHilaf-e-adl hai is tarah main mudam tujh se mila karun
tu asir hai gham-e-zat ka mila faiz tujh se kabhi kabhi
main rahin-e-mausam-e-gul nahin jo bahaar hi mein khila karun
tere qurb ki ye saadaten teri ham-nashini ki lazzaten
yahi aarzu hai qadam qadam tere naqsh par main chala karun
meri zat hai mera imtihan mera huzn mera shuur hai
main ana ke batn mein qaid hun main karun to kis ka gila karun
ye qusur-e-nala-e-shab nahin ki dua rahi meri be-asar
ye pasand hai tujhe is qadar ki main roz tujh se dua karun
mere kasa-ha-e-gunah jab teri rahmaton se qarib hain
main bata na paunga haal-e-dil jo main aaj tujh se haya karun
jo tera karam tha ajib tha mere dil ka haal ajib-tar
ye KHayal kyon mere dil mein phir tu karam kare main KHata karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.