kabhi do ghunT pi kar jab tabiat ko surur aaya
kabhī do ghūñT pī kar jab tabī.at ko surūr aaya
to kuchh kuchh zindagī kā bāda-noshoñ ko shu.ūr aaya
likhīñ jab kātib-e-taqdīr ne bandoñ kī taqdīreñ
mire hisse meñ ijz aur un ke hisse meñ ġhurūr aaya
agar hindū musalmāñ ḳhālisan insān haiñ saare
to kyoñ tafrīq kā hai un kī aqloñ meñ futūr aaya
mohabbat meñ shikāyat lab pe lā.ūñ merī kyā jur.at
achānak aañkh bhar aa.ī jo maiñ tere huzūr aaya
ḳhudā ma.alūm us ko kis liye raġhbat huī ham se
ki jab bhī mai-kashī kī shaiḳh samjhāne zarūr aaya
umīdeñ ho chukī thiiñ ḳhatm yaksar zindagānī kī
tum aa.e to marīz-e-ishq ke chehre pe nuur aaya
'naresh' aqsā-e-ālam jagmagā uTThe nigāhoñ meñ
tasavvur meñ mire jis dam mirā vo rashk-e-hūr aaya
kabhi do ghunT pi kar jab tabiat ko surur aaya
to kuchh kuchh zindagi ka baada-noshon ko shuur aaya
likhin jab katib-e-taqdir ne bandon ki taqdiren
mere hisse mein ijz aur un ke hisse mein ghurur aaya
agar hindu musalman KHalisan insan hain sare
to kyon tafriq ka hai un ki aqlon mein futur aaya
mohabbat mein shikayat lab pe laun meri kya jurat
achanak aankh bhar aai jo main tere huzur aaya
KHuda malum us ko kis liye raghbat hui hum se
ki jab bhi mai-kashi ki shaiKH samjhane zarur aaya
umiden ho chuki thin KHatm yaksar zindagani ki
tum aae to mariz-e-ishq ke chehre pe nur aaya
'naresh' aqsa-e-alam jagmaga uTThe nigahon mein
tasawwur mein mere jis dam mera wo rashk-e-hur aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.