kabhi dur tum se na ja saka
kabhī duur tum se na jā sakā
maiñ tumheñ kabhī na bhulā sakā
tirā qurb to baḌī duur thā
tirī gard ko bhī na pā sakā
tirī yaad kī shab-e-tār meñ
maiñ charāġh tak na jalā sakā
tirā dard jaag uThā hai phir
maiñ na so sakā na sulā sakā
jo mohabbatoñ ke the darmiyāñ
maiñ vo fāsle na miTā sakā
kabhi dur tum se na ja saka
main tumhein kabhi na bhula saka
tera qurb to baDi dur tha
teri gard ko bhi na pa saka
teri yaad ki shab-e-tar mein
main charagh tak na jala saka
tera dard jag uTha hai phir
main na so saka na sula saka
jo mohabbaton ke the darmiyan
main wo fasle na miTa saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.