kabhi ghamgin hota hun kabhi main muskuraata hun
kabhī ġhamgīn hotā huuñ kabhī maiñ muskurātā huuñ
tumheñ jab yaad kartā huuñ to ḳhud ko bhuul jaatā huuñ
tumheñ to dushmanoñ kī dushmanī ne maar Daalā hai
mujhe dekho maiñ apne dostoñ se zaḳhm khātā huuñ
kabhī fursat mile to dekh lenā ik nazar aa kar
tumhārī yaad meñ bujhtī huī sham.eñ jalātā huuñ
maiñ chaltā jā rahā huuñ ābla-pā shauq-e-manzil meñ
kabhī kuī sher kahtā huuñ kabhī kuchh gungunātā huuñ
'ḳhalīl' ab merī āñkhoñ meñ sunahre ḳhvāb mat bonā
maiñ pahle hī dukhoñ kī khetiyāñ tanhā ugātā huuñ
kabhi ghamgin hota hun kabhi main muskuraata hun
tumhein jab yaad karta hun to KHud ko bhul jata hun
tumhein to dushmanon ki dushmani ne mar Dala hai
mujhe dekho main apne doston se zaKHm khata hun
kabhi fursat mile to dekh lena ek nazar aa kar
tumhaari yaad mein bujhti hui shamen jalata hun
main chalta ja raha hun aabla-pa shauq-e-manzil mein
kabhi kui sher kahta hun kabhi kuchh gungunata hun
'KHalil' ab meri aankhon mein sunahre KHwab mat bona
main pahle hi dukhon ki khetiyan tanha ugata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.