kabhi gardish-e-falak se na main be-qarar hota
kabhi gardish-e-falak se na main be-qarar hota
Jagdish Sahay Saxena
MORE BYJagdish Sahay Saxena
kabhī gardish-e-falak se na maiñ be-qarār hotā
ġham-e-ishq agar jahāñ meñ mirā ġham-gusār hotā
tujhe sang-dil samajhtā tujhe zulm-pesha kahtā
tire rahm ke jo qābil mirā hāl-e-zār hotā
maiñ qadam har ik ke letā na kisī se bair rakhtā
jo azal se maiñ ġhubār-e-sar-e-rahguzār hotā
tirī aarzū se baḌh kar koī aarzū nahīñ hai
yahī aarzū jo hotī to maiñ kāmgār hotā
mire āñsuoñ ke qatre dur-e-shāhvār bante
kabhī ġham meñ dūsroñ ke jo maiñ ashk-bār hotā
jo qafas meñ hote paidā to sukūn dil ko miltā
na shu.ūr-e-lāla-o-gul na ġham-e-bahār hotā
kabhi gardish-e-falak se na main be-qarar hota
gham-e-ishq agar jahan mein mera gham-gusar hota
tujhe sang-dil samajhta tujhe zulm-pesha kahta
tere rahm ke jo qabil mera haal-e-zar hota
main qadam har ek ke leta na kisi se bair rakhta
jo azal se main ghubar-e-sar-e-rahguzar hota
teri aarzu se baDh kar koi aarzu nahin hai
yahi aarzu jo hoti to main kaamgar hota
mere aansuon ke qatre dur-e-shahwar bante
kabhi gham mein dusron ke jo main ashk-bar hota
jo qafas mein hote paida to sukun dil ko milta
na shuur-e-lala-o-gul na gham-e-bahaar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.