kabhi giryan kabhi KHandan kabhi hairan hun main
kabhī giryāñ kabhī ḳhandāñ kabhī hairāñ huuñ maiñ
muḳhtasar hai mirī rūdād ki insāñ huuñ maiñ
sehn-e-gulshan se mirī ḳhāk-e-nasheman na uḌā
ai sabā mahram-e-asrār-e-gulistāñ huuñ maiñ
yuuñ mujhe dil se farāmosh kiye baiThe haiñ
jaise un kā hī koī ḳhvāb-e-pareshāñ huuñ maiñ
de ke ġham aap ne takmīl-e-junūñ bhī to na kī
sochiye kab se yuuñ hī chāk-e-garebāñ huuñ maiñ
bazm-e-kaunain meñ ab tak mah-o-ḳhurshīd sahī
un kī mahfil meñ charāġh-e-tah-e-dāmāñ huuñ maiñ
dil ko ummīd-e-karam rakhtī hai muztar ya.anī
ye bhī ik husn-e-talab hai ki pareshāñ huuñ maiñ
mujh ko sharminda na kar mujh se ik aañsū bhī na maañg
ai ġham-e-dost bahut be-sar-o-sāmāñ huuñ maiñ
ye mirā haal hai naala bhī nahīñ kar saktā
aur mirā zarf bhī dekho ki ġhazal-ḳhvāñ huuñ maiñ
'kaif' is haal meñ haiñ āj-kal insāñ ki mujhe
sharm aatī hai ye kahte hue insāñ huuñ maiñ
kabhi giryan kabhi KHandan kabhi hairan hun main
muKHtasar hai meri rudad ki insan hun main
sehn-e-gulshan se meri KHak-e-nasheman na uDa
ai saba mahram-e-asrar-e-gulistan hun main
yun mujhe dil se faramosh kiye baiThe hain
jaise un ka hi koi KHwab-e-pareshan hun main
de ke gham aap ne takmil-e-junun bhi to na ki
sochiye kab se yun hi chaak-e-gareban hun main
bazm-e-kaunain mein ab tak mah-o-KHurshid sahi
un ki mahfil mein charagh-e-tah-e-daman hun main
dil ko ummid-e-karam rakhti hai muztar yani
ye bhi ek husn-e-talab hai ki pareshan hun main
mujh ko sharminda na kar mujh se ek aansu bhi na mang
ai gham-e-dost bahut be-sar-o-saman hun main
ye mera haal hai nala bhi nahin kar sakta
aur mera zarf bhi dekho ki ghazal-KHwan hun main
'kaif' is haal mein hain aaj-kal insan ki mujhe
sharm aati hai ye kahte hue insan hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.