kabhi hathon mein apne kasa-e-zillat nahin lega
kabhī hāthoñ meñ apne kāsa-e-zillat nahīñ legā
jo hai ḳhuddār vo ḳhairāt kī daulat nahīñ legā
jise ḳhāna-ba-doshoñ kī tarah jiine kī aadat hai
kahīñ bhī mustaqil sar par vo koī chhat nahīñ legā
abhī pakkī saḌak se gaañv merā duur hai sāhib
koī paanī pilā kar aap se qīmat nahīñ legā
vo Daaku hai to sab kuchh chhīn kar le jā.egā lekin
na legā ilm vo merā mirī qismat nahīñ legā
jo raushan āsmāñ par chāñd hai kah do use 'ashraf'
ki jugnū tere hisse kī kabhī shohrat nahīñ legā
kabhi hathon mein apne kasa-e-zillat nahin lega
jo hai KHuddar wo KHairaat ki daulat nahin lega
jise KHana-ba-doshon ki tarah jine ki aadat hai
kahin bhi mustaqil sar par wo koi chhat nahin lega
abhi pakki saDak se ganw mera dur hai sahib
koi pani pila kar aap se qimat nahin lega
wo Daku hai to sab kuchh chhin kar le jaega lekin
na lega ilm wo mera meri qismat nahin lega
jo raushan aasman par chand hai kah do use 'ashraf'
ki jugnu tere hisse ki kabhi shohrat nahin lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.