kabhi hai gul kabhi shamshir sa hai
kabhī hai gul kabhī shamshīr sā hai
vo goyā vādī-e-kashmīr sā hai
ravābit sab hisār-e-hijr meñ haiñ
ta.alluq TūTtī zanjīr sā hai
burā sā ḳhvāb dekhā thā jo shab meñ
ye din us ḳhvāb kī ta.abīr sā hai
haiñ gardish meñ lahū saa.at manāzir
zamāna aañkh meñ tasvīr sā hai
'qamar' girdāb tak aao to jaano
jo muzhda lahroñ pe tahrīr sā hai
kabhi hai gul kabhi shamshir sa hai
wo goya wadi-e-kashmir sa hai
rawabit sab hisar-e-hijr mein hain
talluq TuTti zanjir sa hai
bura sa KHwab dekha tha jo shab mein
ye din us KHwab ki tabir sa hai
hain gardish mein lahu saat manazir
zamana aankh mein taswir sa hai
'qamar' girdab tak aao to jaano
jo muzhda lahron pe tahrir sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.