kabhi hai rang-e-haqiqat kabhi hai afsana
kabhī hai rang-e-haqīqat kabhī hai afsāna
ye ik sarāb hai duniyā ki ā.ina-ḳhāna
hudūd-e-ishq meñ ye kaun sā maqām aayā
ḳhud apnī aag meñ jalne lagā hai parvāna
ajiib baat hai duniyā kī vaah rī duniyā
jise bhī apnā kahā ban gayā vo begāna
vo dūsroñ kī haqīqat se āshnā kyoñ ho
jo apnī zaat se ḳhud hī rahā ho begāna
samajh sake na jise hosh-mand bhī aksar
vo baat kah gayā dīvāngī meñ dīvāna
kabhi hai rang-e-haqiqat kabhi hai afsana
ye ek sarab hai duniya ki aaina-KHana
hudud-e-ishq mein ye kaun sa maqam aaya
KHud apni aag mein jalne laga hai parwana
ajib baat hai duniya ki wah ri duniya
jise bhi apna kaha ban gaya wo begana
wo dusron ki haqiqat se aashna kyon ho
jo apni zat se KHud hi raha ho begana
samajh sake na jise hosh-mand bhi aksar
wo baat kah gaya diwangi mein diwana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.