kabhi humne dekha tha KHwab-e-mohabbat
kabhī ham ne dekhā thā ḳhvāb-e-mohabbat
magar aaj haiñ ham ḳharāb-e-mohabbat
ġham-e-dil pe ab raushnī kaun Daale
hijāboñ meñ hai āftāb-e-mohabbat
kitāb-e-do-ālam mukammal na hotī
na hotā agar ek bāb-e-mohabbat
vo nazreñ mujhe de rahī haiñ tasallī
mohabbat banī hai javāb-e-mohabbat
dhuñdalkā sā hai dil kī duniyā meñ 'naḳhshab'
lab-e-bām hai āftāb-e-mohabbat
kabhi hum ne dekha tha KHwab-e-mohabbat
magar aaj hain hum KHarab-e-mohabbat
gham-e-dil pe ab raushni kaun Dale
hijabon mein hai aaftab-e-mohabbat
kitab-e-do-alam mukammal na hoti
na hota agar ek bab-e-mohabbat
wo nazren mujhe de rahi hain tasalli
mohabbat bani hai jawab-e-mohabbat
dhundalka sa hai dil ki duniya mein 'naKHshab'
lab-e-baam hai aaftab-e-mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.