kabhi hum par bhi wo but mehrban ho jae na-mumkin
kabhī ham par bhī vo but mehrbāñ ho jaa.e nā-mumkin
mohabbat bhī jahāñ meñ kāmrāñ ho jaa.e nā-mumkin
kuchh is Dhab se nizām-e-gulsitāñ ho jaa.e nā-mumkin
bahār aa.e kabhī daur-e-ḳhizāñ ho jaa.e nā-mumkin
mazā jab hai ki ham ko qābil-e-mashq-e-sitam samjhe
magar itnā bhī vo but mehrbāñ ho jaa.e nā-mumkin
samajh kar dost dushman ko lagā lete haiñ siine se
hameñ apnoñ pe ġhairoñ kā gumāñ ho jaa.e nā-mumkin
mirī har iltijā par vo nahīñ kah dete haiñ fauran
kabhī ik baar bhūle se bhī haañ ho jaa.e nā-mumkin
mohabbat ke asar kā kis tarah mujh ko yaqīñ aa.e
yahāñ jo dil kī hālat hai vahāñ ho jaa.e nā-mumkin
kuchh is had tak har ik bande ko da.avā hai ḳhudā.ī kā
ki ab bande pe bande kā gumāñ ho jaa.e nā-mumkin
tujhe ai nāḳhudā hargiz ḳhudā ham kah nahīñ sakte
kabhī qatra bhī bahr-e-bekarāñ ho jaa.e nā-mumkin
mirī manzil vo manzil hai kabhī jo mil nahīñ saktī
sarāb-e-dasht bhī āb-e-ravāñ ho jaa.e nā-mumkin
mazā jab hai qafas bhī āshiyāñ ke saath jal uTThe
kabhī yuuñ mehrbāñ barq-e-tapāñ ho jaa.e nā-mumkin
ḳhamoshī hī bayāñ kar de to kar de ain mumkin hai
zabāñ se hāl-e-dil apnā bayāñ ho jaa.e nā-mumkin
kabhī bhī dil jale ko kaun roke āh-o-nāla se
alag ai 'sehr' ātish se dhuāñ ho jaa.e nā-mumkin
kabhi hum par bhi wo but mehrban ho jae na-mumkin
mohabbat bhi jahan mein kaamran ho jae na-mumkin
kuchh is Dhab se nizam-e-gulsitan ho jae na-mumkin
bahaar aae kabhi daur-e-KHizan ho jae na-mumkin
maza jab hai ki hum ko qabil-e-mashq-e-sitam samjhe
magar itna bhi wo but mehrban ho jae na-mumkin
samajh kar dost dushman ko laga lete hain sine se
hamein apnon pe ghairon ka guman ho jae na-mumkin
meri har iltija par wo nahin kah dete hain fauran
kabhi ek bar bhule se bhi han ho jae na-mumkin
mohabbat ke asar ka kis tarah mujh ko yaqin aae
yahan jo dil ki haalat hai wahan ho jae na-mumkin
kuchh is had tak har ek bande ko dawa hai KHudai ka
ki ab bande pe bande ka guman ho jae na-mumkin
tujhe ai naKHuda hargiz KHuda hum kah nahin sakte
kabhi qatra bhi bahr-e-bekaran ho jae na-mumkin
meri manzil wo manzil hai kabhi jo mil nahin sakti
sarab-e-dasht bhi aab-e-rawan ho jae na-mumkin
maza jab hai qafas bhi aashiyan ke sath jal uTThe
kabhi yun mehrban barq-e-tapan ho jae na-mumkin
KHamoshi hi bayan kar de to kar de ain mumkin hai
zaban se haal-e-dil apna bayan ho jae na-mumkin
kabhi bhi dil jale ko kaun roke aah-o-nala se
alag ai 'sehr' aatish se dhuan ho jae na-mumkin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.