kabhi hamare liye tegh-e-be-niyam karo
kabhī hamāre liye teġh-e-be-niyām karo
jo dāstāñ hai tumhārī use tamām karo
ḳhulūs aur mohabbat se nek kaam karo
ye mai-kade hai sabhī ko sharīk-e-jām karo
jo mai-kade se nikāle ga.e to kyā hogā
maiñ mohtasib huuñ yahāñ merā ehtirām karo
tumhāre qurb se dil ko sukūn miltā hai
mire qarīb hī baiTho na kuchh kalām karo
vo ek shaam ki jis par nisār sub.h-e-azal
vo ek shaam kabhī tum hamāre naam karo
kahāñ najāt kī sūrat hai qaid-e-hastī se
kisī tarah isī zindāñ meñ sub.h-o-shām karo
'habāb' hasti-e-mauhūm kā bharosa kyā
musāfiroñ kī tarah bas yahāñ qayām karo
kabhi hamare liye tegh-e-be-niyam karo
jo dastan hai tumhaari use tamam karo
KHulus aur mohabbat se nek kaam karo
ye mai-kade hai sabhi ko sharik-e-jam karo
jo mai-kade se nikale gae to kya hoga
main mohtasib hun yahan mera ehtiram karo
tumhaare qurb se dil ko sukun milta hai
mere qarib hi baiTho na kuchh kalam karo
wo ek sham ki jis par nisar subh-e-azal
wo ek sham kabhi tum hamare nam karo
kahan najat ki surat hai qaid-e-hasti se
kisi tarah isi zindan mein subh-o-sham karo
'habab' hasti-e-mauhum ka bharosa kya
musafiron ki tarah bas yahan qayam karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.