kabhi hansna kabhi rona kabhi nale hain tere
kabhī hañsnā kabhī ronā kabhī naale haiñ tire
kyā kahūñ haa.e ki sab ruup nirāle haiñ tire
chāñdnī phuul ki ḳhushbū kā tasavvur karnā
naam kuchh bhī rahe ye sab hī havāle haiñ tire
ab to is dil meñ nahīñ kuchh bhī bachā tere sivā
in meñ yādoñ ke na.e zaḳhm jo paale haiñ tire
dasht kā dasht tire hijr meñ chhānā maiñ ne
paañv mere haiñ magar in meñ bhī chhāle haiñ tire
jism meñ aag bhaḌaktī hai tirī qurbat se
dekh ham bhī to yahāñ chāhne vaale haiñ tire
āḳhirī vaqt talak koshisheñ kar kar dekheñ
hijr ke daam meñ uljhe hue chāle haiñ tire
kabhi hansna kabhi rona kabhi nale hain tere
kya kahun hae ki sab rup nirale hain tere
chandni phul ki KHushbu ka tasawwur karna
nam kuchh bhi rahe ye sab hi hawale hain tere
ab to is dil mein nahin kuchh bhi bacha tere siwa
in mein yaadon ke nae zaKHm jo pale hain tere
dasht ka dasht tere hijr mein chhana main ne
panw mere hain magar in mein bhi chhaale hain tere
jism mein aag bhaDakti hai teri qurbat se
dekh hum bhi to yahan chahne wale hain tere
aaKHiri waqt talak koshishen kar kar dekhen
hijr ke dam mein uljhe hue chaale hain tere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.