kabhi hawa kabhi diya charagh sa wo aadmi
kabhi hawa kabhi diya charagh sa wo aadmi
Syed Qamar Haider Qamar
MORE BYSyed Qamar Haider Qamar
kabhī havā kabhī diyā charāġh sā vo aadmī
fusūñ-kamāl mo.ajiza charāġh sā vo aadmī
zarūr koī baat thī jo aaj us ko lag ga.ī
mujhe bujhā bujhā lagā charāġh sā vo aadmī
talātum us ke rāzdāñ habīb us kī āñdhiyāñ
havā kī god meñ palā charāġh sā vo aadmī
kabhī dukhoñ ke sog meñ kabhī sukhoñ ke jashn meñ
kahāñ kahāñ nahīñ jalā charāġh sā vo aadmī
mire thake lahū meñ jab añdherā phailne lagā
mirī ragoñ meñ jal uThā charāġh sā vo aadmī
kabhi hawa kabhi diya charagh sa wo aadmi
fusun-kamal moajiza charagh sa wo aadmi
zarur koi baat thi jo aaj us ko lag gai
mujhe bujha bujha laga charagh sa wo aadmi
talatum us ke raazdan habib us ki aandhiyan
hawa ki god mein pala charagh sa wo aadmi
kabhi dukhon ke sog mein kabhi sukhon ke jashn mein
kahan kahan nahin jala charagh sa wo aadmi
mere thake lahu mein jab andhera phailne laga
meri ragon mein jal uTha charagh sa wo aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.