kabhi honTon pe aisa lams apni aankh khole
kabhī hoñToñ pe aisā lams apnī aañkh khole
ki bosā ḳhud-kushī karne se pahle muskurā de
koī aañsū chamakne meñ hamārā saath detā
to zohra aur atārid apne ghar kī raah lete
lajā kar raat ne kuchh aur bhī ghūñghaT nikālā
talab ne jism pahnā shauq ne gahne utāre
tasavvur meñ Tahalte ḳhāl-o-ḳhad kyā chāhte haiñ
udāsī se kaho tasvīr kī āñkhoñ se pūchhe
dukāñ ik sāmne aisī achānak aa ga.ī thī
jahāñ mumkin na thā ham apnī jeboñ meñ samāte
bhikāran jaate jaate pīchhe muḌ kar dekh le to
maiñ us ke naam kar duuñ dil ke maftūha 'ilāqe
utar ātīñ tire jhīloñ pe sustāne ko Dāreñ
to us din ham bhī apne ġhaar se bāhar nikalte
kabhi honTon pe aisa lams apni aankh khole
ki bosa KHud-kushi karne se pahle muskura de
koi aansu chamakne mein hamara sath deta
to zohra aur atarid apne ghar ki rah lete
laja kar raat ne kuchh aur bhi ghunghaT nikala
talab ne jism pahna shauq ne gahne utare
tasawwur mein Tahalte KHal-o-KHad kya chahte hain
udasi se kaho taswir ki aankhon se puchhe
dukan ek samne aisi achanak aa gai thi
jahan mumkin na tha hum apni jebon mein samate
bhikaran jate jate pichhe muD kar dekh le to
main us ke nam kar dun dil ke maftuha 'ilaqe
utar aatin tere jhilon pe sustane ko Daren
to us din hum bhi apne ghaar se bahar nikalte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.