kabhi ek dam kabhi chupke se aae
kabhī ik dam kabhī chupke se aa.e
tumhārī yaad bhī vaqfe se aa.e
thā bāhar ik alag hī shor barpā
ham andar chor-darvāze se aa.e
badal ki rakh diyā tāmīr-e-nau ne
so tere dar pe andāze se aa.e
na.ī manzil kī le kar aarzū ham
qadīmī mo'atabar raste se aa.e
milī har shor meñ pinhāñ ḳhamoshī
palaT kar ham jo vīrāne se aa.e
kabhi ek dam kabhi chupke se aae
tumhaari yaad bhi waqfe se aae
tha bahar ek alag hi shor barpa
hum andar chor-darwaze se aae
badal ki rakh diya tamir-e-nau ne
so tere dar pe andaze se aae
nai manzil ki le kar aarzu hum
qadimi mo'atabar raste se aae
mili har shor mein pinhan KHamoshi
palaT kar hum jo virane se aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.