kabhi ek naya aasman DhunDhti hun
kabhī ik nayā āsmān DhūñDhtī huuñ
kabhī koī jā-e-amāñ DhūñDhtī huuñ
vo ik ḳhvāb jo maiñ ne dekhā nahīñ thā
ab us ḳhvāb kī dhajjiyāñ DhūñDhtī huuñ
mujhe merī hastī se āzād kar de
vo ik lamha-e-jāvedāñ DhūñDhtī huuñ
adākār chehroñ kī gahrā.iyoñ meñ
kahīñ sach kī parchhā.iyāñ DhūñDhtī huuñ
jo patthar se alfāz meñ jaan Daale
vo andāz-e-sehrul-bayāñ DhūñDhtī huuñ
nahīñ koī dīvār-e-girya mayassar
koī meherbāñ rāz-dāñ DhūñDhtī huuñ
kabhi ek naya aasman DhunDhti hun
kabhi koi ja-e-aman DhunDhti hun
wo ek KHwab jo main ne dekha nahin tha
ab us KHwab ki dhajjiyan DhunDhti hun
mujhe meri hasti se aazad kar de
wo ek lamha-e-jawedan DhunDhti hun
adakar chehron ki gahraiyon mein
kahin sach ki parchhaiyan DhunDhti hun
jo patthar se alfaz mein jaan Dale
wo andaz-e-sehrul-bayan DhunDhti hun
nahin koi diwar-e-girya mayassar
koi meherban raaz-dan DhunDhti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.