kabhi inkar hota hai kabhi iqrar hota hai
kabhī inkār hotā hai kabhī iqrār hotā hai
yahī haiñ ishq kī rasmeñ yahī to pyaar hotā hai
tere aane kī bāteñ dil ke bahlāne kī bāteñ haiñ
baḌī mushkil se qismat meñ visāl-e-yār hotā hai
ye nāzuk chiiz hai dil aap is se khel na kheleñ
diloñ ke khel puure khelnā dushvār hotā hai
bahut mushkil hai manzil tak pahuñch paanā mohabbat meñ
ki rāh-e-ishq par to har koī lāchār hotā hai
sar-e-mū be-ruḳhī se bhī na mere dil ko tum chheḌo
baḌā nāzuk rabāb-e-dil kā har ik taar hotā hai
kiye baiThe rahe sar ḳham ki us zālim kī mahfil meñ
nigāhoñ ko uThā saknā bahut dushvār hotā hai
karo armān itne hī ki jo 'nirdosh' puure hoñ
na puurī ho agar ḳhvāhish to dil bezār hotā hai
kabhi inkar hota hai kabhi iqrar hota hai
yahi hain ishq ki rasmen yahi to pyar hota hai
tere aane ki baaten dil ke bahlane ki baaten hain
baDi mushkil se qismat mein visal-e-yar hota hai
ye nazuk chiz hai dil aap is se khel na khelen
dilon ke khel pure khelna dushwar hota hai
bahut mushkil hai manzil tak pahunch pana mohabbat mein
ki rah-e-ishq par to har koi lachaar hota hai
sar-e-mu be-ruKHi se bhi na mere dil ko tum chheDo
baDa nazuk rabab-e-dil ka har ek tar hota hai
kiye baiThe rahe sar KHam ki us zalim ki mahfil mein
nigahon ko uTha sakna bahut dushwar hota hai
karo arman itne hi ki jo 'nirdosh' pure hon
na puri ho agar KHwahish to dil bezar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.