kabhi insan se insan mohabbat na kare
kabhī insān se insān mohabbat na kare
haañ mohabbat nahīñ āsān mohabbat na kare
ho bachānā agar īmān mohabbat na kare
husn-e-kāfir se musalmān mohabbat na kare
jān-pahchān mohabbat kī haqīqat se ho gar
jis se kuchh jaan na pahchān mohabbat na kare
ḳhair dil kī na amaañ jaan kī mumkin hai yahāñ
jis ko pyāre hoñ dil-o-jān mohabbat na kare
ye vo dariyā hai ki jis kā nahīñ sāhil koī
khel samjhā hai jo tūfān mohabbat na kare
kabhi insan se insan mohabbat na kare
han mohabbat nahin aasan mohabbat na kare
ho bachana agar iman mohabbat na kare
husn-e-kafir se musalman mohabbat na kare
jaan-pahchan mohabbat ki haqiqat se ho gar
jis se kuchh jaan na pahchan mohabbat na kare
KHair dil ki na aman jaan ki mumkin hai yahan
jis ko pyare hon dil-o-jaan mohabbat na kare
ye wo dariya hai ki jis ka nahin sahil koi
khel samjha hai jo tufan mohabbat na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.