kabhi is makan se guzar gaya kabhi us makan se guzar gaya
kabhi is makan se guzar gaya kabhi us makan se guzar gaya
Arsh Malsiyani
MORE BYArsh Malsiyani
kabhī is makāñ se guzar gayā kabhī us makāñ se guzar gayā
tire āstāñ kī talāsh meñ maiñ har āstāñ se guzar gayā
kabhī mehr-o-māh-o-nujūm se kabhī kahkashāñ se guzar gayā
jo tere ḳhayāl meñ chal paḌā vo kahāñ kahāñ se guzar gayā
abhī aadmī hai fazāoñ meñ abhī uḌ rahā hai ḳhalāoñ meñ
ye na jaane pahuñchegā kis jagah agar āsmāñ se guzar gayā
ye mirā kamāl-e-gunah sahī magar is ko dekh mire ḳhudā
mujhe tū ne rokā jahāñ jahāñ maiñ vahāñ vahāñ se guzar gayā
jise log kahte haiñ zindagī vo to hādsoñ kā hujūm hai
vo to kahiye merā hī kaam thā ki maiñ darmiyāñ se guzar gayā
maiñ murād-e-shauq ko pā ke bhī na murād-e-shauq ko pā sakūñ
dar-e-mehrbāñ pe pahuñch ke bhī dar-e-mehrbāñ se guzar gayā
chalo 'arsh' mahfil-e-dost meñ ki payām-e-dost bhī hai yahī
vo jo hādisa thā firāq kā sar-e-dushmanāñ se guzar gayā
kabhi is makan se guzar gaya kabhi us makan se guzar gaya
tere aastan ki talash mein main har aastan se guzar gaya
kabhi mehr-o-mah-o-nujum se kabhi kahkashan se guzar gaya
jo tere KHayal mein chal paDa wo kahan kahan se guzar gaya
abhi aadmi hai fazaon mein abhi uD raha hai KHalaon mein
ye na jaane pahunchega kis jagah agar aasman se guzar gaya
ye mera kamal-e-gunah sahi magar is ko dekh mere KHuda
mujhe tu ne roka jahan jahan main wahan wahan se guzar gaya
jise log kahte hain zindagi wo to hadson ka hujum hai
wo to kahiye mera hi kaam tha ki main darmiyan se guzar gaya
main murad-e-shauq ko pa ke bhi na murad-e-shauq ko pa sakun
dar-e-mehrban pe pahunch ke bhi dar-e-mehrban se guzar gaya
chalo 'arsh' mahfil-e-dost mein ki payam-e-dost bhi hai yahi
wo jo hadisa tha firaq ka sar-e-dushmanan se guzar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.