kabhi jab mil ke rahte the wo sohbat yaad aati hai
kabhī jab mil ke rahte the vo sohbat yaad aatī hai
hameñ apne buzurgoñ kī sharāfat yaad aatī hai
kisī bhī ma.asiyat se maiñ hamesha duur rahtā huuñ
ki har lamha mujhe maañ kī nasīhat yaad aatī hai
har ik dar band kartā huuñ ki shab to chain se guzre
tū jab pahlū meñ hotā thā vo saa.at yaad aatī hai
kabhī aurāq maazī ke palaT letā huuñ fursat meñ
tirī be-kār bātoñ kī bhī hujjat yaad aatī hai
milī daulat jo duniyā kī baḌhīñ bezāriyāñ dil kī
sukūñ se jis meñ rahte the vo ġhurbat yaad aatī hai
tabī.at phir se apnī DhūñDhtī hai zā.iqa 'saifī'
hasīñ dilkash adāoñ kī bhī lazzat yaad aatī hai
kabhi jab mil ke rahte the wo sohbat yaad aati hai
hamein apne buzurgon ki sharafat yaad aati hai
kisi bhi masiyat se main hamesha dur rahta hun
ki har lamha mujhe man ki nasihat yaad aati hai
har ek dar band karta hun ki shab to chain se guzre
tu jab pahlu mein hota tha wo saat yaad aati hai
kabhi auraq mazi ke palaT leta hun fursat mein
teri be-kar baaton ki bhi hujjat yaad aati hai
mili daulat jo duniya ki baDhin bezariyan dil ki
sukun se jis mein rahte the wo ghurbat yaad aati hai
tabiat phir se apni DhunDhti hai zaiqa 'saifi'
hasin dilkash adaon ki bhi lazzat yaad aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.