kabhi jo hogi visal ki shab qarib wo KHush-jamal hoga
kabhi jo hogi visal ki shab qarib wo KHush-jamal hoga
Fauziya Akhtar Azka
MORE BYFauziya Akhtar Azka
kabhī jo hogī visāl kī shab qarīb vo ḳhush-jamāl hogā
to raqs sāñseñ kareñgī aur dhaḌkanoñ meñ merī dhamāl hogā
na.e safar meñ magan ho lekin kabhī jo thak kar niDhāl hoge
to mujh se dāman chhuḌā ke jaane kā tum ko behad malāl hogā
umiid par hai ye duniyā qaa.em so ham bhī haiñ muntazir tumhāre
kabhī to qurbat bhī hogī hāsil kabhī to ye bhī kamāl hogā
hamārī āñkhoñ ke jalte jugnū bujhā ke jo muskurā rahe ho
ye mat samajhnā ki hashr meñ bhī na tum se koī savāl hogā
karo na itnā malāl 'azkā' baḌā ġhafūr-ur-rahīm hai rab
tumhāre sabr-o-razā se zaḳhm-e-jigar kā bhī indimāl hogā
kabhi jo hogi visal ki shab qarib wo KHush-jamal hoga
to raqs sansen karengi aur dhaDkanon mein meri dhamal hoga
nae safar mein magan ho lekin kabhi jo thak kar niDhaal hoge
to mujh se daman chhuDa ke jaane ka tum ko behad malal hoga
umid par hai ye duniya qaem so hum bhi hain muntazir tumhaare
kabhi to qurbat bhi hogi hasil kabhi to ye bhi kamal hoga
hamari aankhon ke jalte jugnu bujha ke jo muskura rahe ho
ye mat samajhna ki hashr mein bhi na tum se koi sawal hoga
karo na itna malal 'azka' baDa ghafur-ur-rahim hai rab
tumhaare sabr-o-raza se zaKHm-e-jigar ka bhi indimal hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.