kabhi jo mil na saki us KHushi ka hasil hai
kabhī jo mil na sakī us ḳhushī kā hāsil hai
ye dard hī to mirī zindagī kā hāsil hai
maiñ apne aap se pīchhā nahīñ chhuḌā paayā
mirā vajūd mirī bebasī kā hāsil hai
ye tīrgī bhī kisī raushnī se niklī hai
ye raushnī bhī kisī tīrgī kā hāsil hai
hazār kāvisheñ kiiñ par nahīñ samajh paayā
koī batā.e to kyā aadmī kā hāsil hai
mirā vajūd jo patthar dikhā.ī detā hai
tamām umr kī shīshagarī kā hāsil hai
ma.āshre meñ jo mash.hūr ho gayā 'irfāñ'
vo ek sher tirī shā.irī kā hāsil hai
kabhi jo mil na saki us KHushi ka hasil hai
ye dard hi to meri zindagi ka hasil hai
main apne aap se pichha nahin chhuDa paya
mera wajud meri bebasi ka hasil hai
ye tirgi bhi kisi raushni se nikli hai
ye raushni bhi kisi tirgi ka hasil hai
hazar kawishen kin par nahin samajh paya
koi batae to kya aadmi ka hasil hai
mera wajud jo patthar dikhai deta hai
tamam umr ki shishagari ka hasil hai
maashre mein jo mashhur ho gaya 'irfan'
wo ek sher teri shairi ka hasil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.