kabhi jo muztarib ye dil raha hai
kabhī jo muztarib ye dil rahā hai
to phir jiinā bahut mushkil rahā hai
usī ko munsifī sauñpī ga.ī hai
zarā pahle jo ik qātil rahā hai
vazāhat meñ hue tum sarf jis kī
vo mauzūa ham pe kab mushkil rahā hai
hamārī kashtiyāñ TuuTī bahut haiñ
magar taqdīr meñ 'sāhil' rahā hai
kabhi jo muztarib ye dil raha hai
to phir jina bahut mushkil raha hai
usi ko munsifi saunpi gai hai
zara pahle jo ek qatil raha hai
wazahat mein hue tum sarf jis ki
wo mauzua hum pe kab mushkil raha hai
hamari kashtiyan TuTi bahut hain
magar taqdir mein 'sahil' raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.