kabhi jo rahte the is shahr mein KHuda ki tarah
kabhī jo rahte the is shahr meñ ḳhudā kī tarah
vo miT ga.e haiñ mire naqsh-hā-e-pā kī tarah
kahāñ thā hosh ki maiñ 'arz-e-mudda.ā kartā
guzar ga.e vo mire paas se havā kī tarah
dhyān tak na diyā mere ham-nashīnoñ ne
maiñ gūñjtā rahā sahrā meñ ik sadā kī tarah
vo jin kī yaad kī ḳhushbū mujhe satātī hai
base hue haiñ mire zehn meñ sabā kī tarah
vafā kī riit hamesha se kuchh nirālī hai
jazā bhī miltī hai is raah meñ sazā kī tarah
kabhī to aao ki dil ko qarār aa jaa.e
chale bhī aao kisī roz to qazā kī tarah
kabhi jo rahte the is shahr mein KHuda ki tarah
wo miT gae hain mere naqsh-ha-e-pa ki tarah
kahan tha hosh ki main 'arz-e-muddaa karta
guzar gae wo mere pas se hawa ki tarah
dhyan tak na diya mere ham-nashinon ne
main gunjta raha sahra mein ek sada ki tarah
wo jin ki yaad ki KHushbu mujhe satati hai
base hue hain mere zehn mein saba ki tarah
wafa ki rit hamesha se kuchh nirali hai
jaza bhi milti hai is rah mein saza ki tarah
kabhi to aao ki dil ko qarar aa jae
chale bhi aao kisi roz to qaza ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.