kabhi kabul kabhi Dhaka kabhi rangun se nikle
kabhī kābul kabhī Dhāka kabhī rangūn se nikle
na jaane kitne hī dariyā hamāre ḳhuun se nikle
ham apnā nafs-e-ammāra samajhne se rahe qāsir
kitāb-e-nafs paḌh kar aage aflātūn se nikle
ijāzat maiñ nahīñ dūñgā mirā dil toḌ jaane kī
mire dil se jo nikle qā.ede qānūn se nikle
ise to bolne vaalā hī ab behtar batā.egā
hazāroñ jhuuT kaise ek telephone se nikle
ye puure saal mazdūroñ ke māthe se Tapaktā hai
pasīna kyā zarūrī hai ki ḳhālī june se nikle
atā kī hai ḳhudā ne in ko rangat surḳh-e-yāqūtī
tumhāre hoñT haiñ yā phir samar zaitūn se nikle
guzar jab jab huā hai 'nūr' bāzār-e-mohabbat se
bachā kar apnī āñkheñ ham har ik ḳhātūn se nikle
kabhi kabul kabhi Dhaka kabhi rangun se nikle
na jaane kitne hi dariya hamare KHun se nikle
hum apna nafs-e-ammara samajhne se rahe qasir
kitab-e-nafs paDh kar aage aflatun se nikle
ijazat main nahin dunga mera dil toD jaane ki
mere dil se jo nikle qaede qanun se nikle
ise to bolne wala hi ab behtar bataega
hazaron jhuT kaise ek telephone se nikle
ye pure sal mazduron ke mathe se Tapakta hai
pasina kya zaruri hai ki KHali june se nikle
ata ki hai KHuda ne in ko rangat surKH-e-yaquti
tumhaare honT hain ya phir samar zaitun se nikle
guzar jab jab hua hai 'nur' bazar-e-mohabbat se
bacha kar apni aankhen hum har ek KHatun se nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.