kabhi kanTon ne yun chhili hawaen
kabhī kāñToñ ne yuuñ chhīlī havā.eñ
huiiñ kuchh aur nokīlī havā.eñ
sunahrī dhuup oḌhe nāchtī haiñ
mire āñgan meñ chamkīlī havā.eñ
mirī chunarī sajātī haiñ dhanak se
gulābī kāsnī niilī havā.eñ
'ajab hai phūltī sarsoñ kā jaadū
hare raste chaleñ piilī havā.eñ
shumālī khiḌkiyoñ se jhāñktī haiñ
december kī ye barfīlī havā.eñ
ḳhizāñ pattoñ ko lene aa rahī hai
huī haiñ ḳhauf se piilī havā.eñ
ye insānī karam kā phal haiñ shāyad
dhuāñ-ālūd zahrīlī havā.eñ
sulag uTThe haiñ mausam tishnagī ke
badan chhūne lagīñ giilī havā.eñ
ga.e sāvan kī yādoñ se lipaT kar
chalī aa.ī haiñ kuchh siilī havā.eñ
kabhi kanTon ne yun chhili hawaen
huin kuchh aur nokili hawaen
sunahri dhup oDhe nachti hain
mere aangan mein chamkili hawaen
meri chunari sajati hain dhanak se
gulabi kasni nili hawaen
'ajab hai phulti sarson ka jadu
hare raste chalen pili hawaen
shumali khiDkiyon se jhankti hain
december ki ye barfili hawaen
KHizan patton ko lene aa rahi hai
hui hain KHauf se pili hawaen
ye insani karam ka phal hain shayad
dhuan-alud zahrili hawaen
sulag uTThe hain mausam tishnagi ke
badan chhune lagin gili hawaen
gae sawan ki yaadon se lipaT kar
chali aai hain kuchh sili hawaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.