kabhi kabhaar bhi kab saeban kisi ne diya
kabhī kabhār bhī kab sā.ebāñ kisī ne diyā
na haath sar pe ba-juz āsmāñ kisī ne diyā
nisār maiñ tirī yādoñ kī chhatriyoñ pe nisār
na is tarah kā kabhī sā.ebāñ kisī ne diyā
hamāre paañv bhī apne nahīñ haiñ aur sar bhī
zamīñ kahīñ se milī āsmāñ kisī ne diyā
bikā thā kal bhī to ik zehan chand sikkoñ meñ
sanad kisī ko milī imtihāñ kisī ne diyā
ulajh paḌā thā vo mālik-makān se ik din
phir is ke ba.ad na us ko makāñ kisī ne diyā
tū itne ġham ko sambhālegā kis tarah 'nāsik'
agar tujhe bhī ġham-e-bekarāñ kisī ne diyā
kabhi kabhaar bhi kab saeban kisi ne diya
na hath sar pe ba-juz aasman kisi ne diya
nisar main teri yaadon ki chhatriyon pe nisar
na is tarah ka kabhi saeban kisi ne diya
hamare panw bhi apne nahin hain aur sar bhi
zamin kahin se mili aasman kisi ne diya
bika tha kal bhi to ek zehan chand sikkon mein
sanad kisi ko mili imtihan kisi ne diya
ulajh paDa tha wo malik-makan se ek din
phir is ke baad na us ko makan kisi ne diya
tu itne gham ko sambhaalega kis tarah 'nasik'
agar tujhe bhi gham-e-bekaran kisi ne diya
- Book : Adab-o-Saqafat International (Pg. 63)
- Author : Shakeelsarosh
- Publication : Misal Publishers Raheem Center Press Market Ameen Pur Bazar, Faisalbad, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.