kabhi kabhi hi wo mujhse nahin jhagaDta hai
kabhī kabhī hī vo mujh se nahīñ jhagaḌtā hai
vagarna dekhtā hai aur TuuT paḌtā hai
mirī nazar se to hai duur vo bahut lekin
mire ḳhayāl ke haañ ās-pās paḌtā hai
harā-bharā to bahut thā vo baañs kā jañgal
kise patā thā magar aag bhī pakaḌtā hai
yaqīn us kī rifāqat kā kar rahā huuñ maiñ
ki jis kā kaam mere dushmanoñ se paḌtā hai
yahīñ pe rabt meñ aatā hai ek dorāhā
yahīñ pe aa ke mirā rābta bigaḌtā hai
maiñ aisī jañg meñ huuñ ek aisī jañg jahāñ
mirā ḳhulūs hī mere ḳhilāf laḌtā hai
kabhi kabhi hi wo mujh se nahin jhagaDta hai
wagarna dekhta hai aur TuT paDta hai
meri nazar se to hai dur wo bahut lekin
mere KHayal ke han aas-pas paDta hai
hara-bhara to bahut tha wo bans ka jangal
kise pata tha magar aag bhi pakaDta hai
yaqin us ki rifaqat ka kar raha hun main
ki jis ka kaam mere dushmanon se paDta hai
yahin pe rabt mein aata hai ek doraha
yahin pe aa ke mera rabta bigaDta hai
main aisi jang mein hun ek aisi jang jahan
mera KHulus hi mere KHilaf laDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.