kabhi kabhi kitna nuqsan uThana paDta hai
kabhī kabhī kitnā nuqsān uThānā paḌtā hai
airoñ ġhairoñ kā ehsān uThānā paḌtā hai
TeḌhe-meḌhe rastoñ par bhī ḳhvāboñ kā pashtāra
terī ḳhātir merī jaan uThānā paḌtā hai
kab suntā hai naala koī shor-sharābe meñ
majbūrī meñ bhī tūfān uThānā paḌtā hai
kaisī havā.eñ chalne lagī haiñ mere bāġhoñ meñ
phūloñ ko bhī ab sāmān uThānā paḌtā hai
gul-daste kī ḳhvāhish rakhne vāloñ ko aksar
koī ḳhaar bharā gul-dān uThānā paḌtā hai
yaañ koī tafrīq nahīñ hai shaah gadā sab ko
apnā bojh dil-e-nādān uThānā paḌtā hai
yuuñ māyūs nahīñ hote haiñ koī na koī ġham
achchhe achchhoñ ko har aan uThānā paḌtā hai
makkāroñ kī is duniyā meñ kabhī kabhī 'ālam'
achchhe logoñ ko bohtān uThānā paḌtā hai
kabhi kabhi kitna nuqsan uThana paDta hai
airon ghairon ka ehsan uThana paDta hai
TeDhe-meDhe raston par bhi KHwabon ka pashtara
teri KHatir meri jaan uThana paDta hai
kab sunta hai nala koi shor-sharabe mein
majburi mein bhi tufan uThana paDta hai
kaisi hawaen chalne lagi hain mere baghon mein
phulon ko bhi ab saman uThana paDta hai
gul-daste ki KHwahish rakhne walon ko aksar
koi KHar bhara gul-dan uThana paDta hai
yan koi tafriq nahin hai shah gada sab ko
apna bojh dil-e-nadan uThana paDta hai
yun mayus nahin hote hain koi na koi gham
achchhe achchhon ko har aan uThana paDta hai
makkaron ki is duniya mein kabhi kabhi 'alam'
achchhe logon ko bohtan uThana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.