kabhi kabhi mujhko lagta hai
kabhī kabhī mujh ko lagtā hai
saarā khel muqaddar kā hai
tum bhī dānish-var ho āḳhir
tum ne kyā sochā samjhā hai
apnī apnī majbūrī hai
samjhautā apnā apnā hai
tum apnā kirdār nibhāo
duniyā ek tamāshā sā hai
maiñ jis ko apnā kahtā huuñ
vo bhī dil se kyā merā hai
samjhegā to vo ro degā
vo bhī to mere jaisā hai
kabhi kabhi mujh ko lagta hai
sara khel muqaddar ka hai
tum bhi danish-war ho aaKHir
tum ne kya socha samjha hai
apni apni majburi hai
samjhauta apna apna hai
tum apna kirdar nibhao
duniya ek tamasha sa hai
main jis ko apna kahta hun
wo bhi dil se kya mera hai
samjhega to wo ro dega
wo bhi to mere jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.