kabhi kabhi to gham-e-rozgar haT jae
kabhī kabhī to ġham-e-rozgār haT jaa.e
mire ḳhayāl kā dāman koī ulaT jaa.e
vahī hai ahl-e-safar ko shu.ūr kī manzil
nigāh-e-rahbar-e-manzil jahāñ palaT jaa.e
rahī hai husn kī jānib se ehtiyāt bahut
vo kyā kareñ agar āñchal hī ḳhud ulaT jaa.e
pahuñch rahā hai diloñ tak yaqīn-e-nūr-e-sahar
gumān-e-shab se kaho rāste se haT jaa.e
ham ahl-e-dard tire ġham meñ jī bhī sakte haiñ
nigāh-e-lutf-o-karam bhī agar simaT jaa.e
ye jāntā huuñ ki hai zindagī hasīn bahut
magar vo din jo tirī aarzū meñ kaT jaa.e
mirī nigāh ne sab kā ġhurūr dekhā hai
andherī raat se kah do zarā simaT jaa.e
ye iḳhtilāf-e-nazar aur ham-nashīnoñ meñ
ki merā zehn tirī anjuman se haT jaa.e
kabhi kabhi to gham-e-rozgar haT jae
mere KHayal ka daman koi ulaT jae
wahi hai ahl-e-safar ko shuur ki manzil
nigah-e-rahbar-e-manzil jahan palaT jae
rahi hai husn ki jaanib se ehtiyat bahut
wo kya karen agar aanchal hi KHud ulaT jae
pahunch raha hai dilon tak yaqin-e-nur-e-sahar
guman-e-shab se kaho raste se haT jae
hum ahl-e-dard tere gham mein ji bhi sakte hain
nigah-e-lutf-o-karam bhi agar simaT jae
ye jaanta hun ki hai zindagi hasin bahut
magar wo din jo teri aarzu mein kaT jae
meri nigah ne sab ka ghurur dekha hai
andheri raat se kah do zara simaT jae
ye iKHtilaf-e-nazar aur ham-nashinon mein
ki mera zehn teri anjuman se haT jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.