kabhi kabhi tu na hogi kabhi hua karegi
kabhī kabhī tū na hogī kabhī huā karegī
zarūr tujh ko kisī kī kamī huā karegī
rahegī aise hī raunaq tire mahalle kī
guzarne vaale na hoñge galī huā karegī
jo ham na hoñge to phir kaun tum se māñgegā
tumheñ hamārī zarūrat sakhī huā karegī
bichhaḌ ke mujh se merī jaan ḳhush rahā karnā
tū ḳhush rahā to mujhe bhī ḳhushī huā karegī
hamārā ḳhaas ta.alluq to ḳhair thā hī nahīñ
aur ab to baat bhī bas sarsarī huā karegī
tum aur maiñ to yaqīnan vahāñ janam leñge
kahīñ ḳhalā meñ agar zindagī huā karegī
kabhi kabhi tu na hogi kabhi hua karegi
zarur tujh ko kisi ki kami hua karegi
rahegi aise hi raunaq tere mahalle ki
guzarne wale na honge gali hua karegi
jo hum na honge to phir kaun tum se mangega
tumhein hamari zarurat sakhi hua karegi
bichhaD ke mujh se meri jaan KHush raha karna
tu KHush raha to mujhe bhi KHushi hua karegi
hamara KHas talluq to KHair tha hi nahin
aur ab to baat bhi bas sarsari hua karegi
tum aur main to yaqinan wahan janam lenge
kahin KHala mein agar zindagi hua karegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.