kabhi kabhi wahi bang-e-dara lage hai mujhe
kabhī kabhī vahī bāñg-e-darā lage hai mujhe
ki TūTtī sī jo dil kī sadā lage hai mujhe
mirā ḳhulūs mujhe le ke aa gayā hai kahāñ
vo hañs ke gāliyāñ de to duā lage hai mujhe
na aayā harf-e-shikāyat mire laboñ pe magar
ye baat sach hai ki vo bevafā lage hai mujhe
jazā kī fikr ho kyoñ mujh ko bazm-e-hastī meñ
mirā vajūd hī jab ik sazā lage hai mujhe
maiñ apne aap se begāna ho gayā 'anvar'
kisī hasīn kī ye badduā lage hai mujhe
kabhi kabhi wahi bang-e-dara lage hai mujhe
ki TuTti si jo dil ki sada lage hai mujhe
mera KHulus mujhe le ke aa gaya hai kahan
wo hans ke galiyan de to dua lage hai mujhe
na aaya harf-e-shikayat mere labon pe magar
ye baat sach hai ki wo bewafa lage hai mujhe
jaza ki fikr ho kyon mujh ko bazm-e-hasti mein
mera wajud hi jab ek saza lage hai mujhe
main apne aap se begana ho gaya 'anwar'
kisi hasin ki ye baddua lage hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.