kabhi kahkashan se guzar gaya kabhi aasman se guzar gaya
kabhī kahkashāñ se guzar gayā kabhī āsmāñ se guzar gayā
tujhe kuchh ḳhabar bhī hai be-ḳhabar maiñ kahāñ kahāñ se guzar gayā
kabhī bhuul kar bhī zabān par agar aaya naam bahār kā
vahīñ ek sho.ala-e-barq-e-dam mire āshiyāñ se guzar gayā
jise tū ne dekh kar ik nazar kabhī phir na muḌ ke nigāh kī
liye dil meñ diid kī aarzū vahī is jahāñ se guzar gayā
na thā koī gul jo nasīb kā to kamī thī kaun sī ḳhaar kī
liye maiñ ġham-e-tahī-dāmanī bhare gulsitāñ se guzar gayā
thī ajiib ishq kī be-ḳhudī ki zabān husn kī ban ga.ī
tirā tazkira thā vahāñ vahāñ maiñ jahāñ jahāñ se guzar gayā
jise dhun ho terī talāsh kī use kyā nasheb-o-farāz se
mujhe kuchh bhī is kā pata nahīñ maiñ kahāñ se guzar gayā
kahāñ mujh meñ itnā kamāl thā tirā lutf shāmil-e-hāl thā
jo maiñ jheltā huā saḳhtiyāñ har ik imtihāñ se guzar gayā
na to shauq-e-jehd-e-baqā ghaTā na to shān-e-zabt-e-fuġhāñ miTī
maiñ tire hujūm-e-ḳhayāl meñ ġham-e-do-jahāñ se guzar gayā
ye nahīñ ki pās-e-adab na thā mirī be-ḳhudī kā sabab ye thā
tire āstāñ hī kī fikr meñ tire āstāñ se guzar gayā
nahīñ jis kā aap ko kuchh pata ye vahī thā 'nātiq'-e-be-navā
ġham-o-dard kā liye kārvāñ jo abhī yahāñ se guzar gayā
kabhi kahkashan se guzar gaya kabhi aasman se guzar gaya
tujhe kuchh KHabar bhi hai be-KHabar main kahan kahan se guzar gaya
kabhi bhul kar bhi zaban par agar aaya nam bahaar ka
wahin ek shoala-e-barq-e-dam mere aashiyan se guzar gaya
jise tu ne dekh kar ek nazar kabhi phir na muD ke nigah ki
liye dil mein did ki aarzu wahi is jahan se guzar gaya
na tha koi gul jo nasib ka to kami thi kaun si KHar ki
liye main gham-e-tahi-damani bhare gulsitan se guzar gaya
thi ajib ishq ki be-KHudi ki zaban husn ki ban gai
tera tazkira tha wahan wahan main jahan jahan se guzar gaya
jise dhun ho teri talash ki use kya nasheb-o-faraaz se
mujhe kuchh bhi is ka pata nahin main kahan se guzar gaya
kahan mujh mein itna kamal tha tera lutf shamil-e-haal tha
jo main jhelta hua saKHtiyan har ek imtihan se guzar gaya
na to shauq-e-jehd-e-baqa ghaTa na to shan-e-zabt-e-fughan miTi
main tere hujum-e-KHayal mein gham-e-do-jahan se guzar gaya
ye nahin ki pas-e-adab na tha meri be-KHudi ka sabab ye tha
tere aastan hi ki fikr mein tere aastan se guzar gaya
nahin jis ka aap ko kuchh pata ye wahi tha 'natiq'-e-be-nawa
gham-o-dard ka liye karwan jo abhi yahan se guzar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.