kabhi karam kabhi ghaiz-o-ghazab to hoga hi
kabhī karam kabhī ġhaiz-o-ġhazab to hogā hī
mizāj-e-yār salāmat ye sab to hogā hī
kisī ke ghar meñ bichhī ho agar saf-e-mātam
kisī kī bazm meñ jashn-e-tarab to hogā hī
tumhārī baat ho yā zikr hūr-o-ġhilmāñ kā
bayān-e-shāna-o-ruḳhsār-o-lab to hogā hī
adab ke naam pe hogī jo itnī pābandī
to koī vāqi.a sū-e-adab to hogā hī
maiñ iḳhtilāf na un se kabhī karūñ ai 'rāz'
paḌe ḳhudī pe magar zarb tab to hogā hī
kabhi karam kabhi ghaiz-o-ghazab to hoga hi
mizaj-e-yar salamat ye sab to hoga hi
kisi ke ghar mein bichhi ho agar saf-e-matam
kisi ki bazm mein jashn-e-tarab to hoga hi
tumhaari baat ho ya zikr hur-o-ghilman ka
bayan-e-shana-o-ruKHsar-o-lab to hoga hi
adab ke nam pe hogi jo itni pabandi
to koi waqia su-e-adab to hoga hi
main iKHtilaf na un se kabhi karun ai 'raaz'
paDe KHudi pe magar zarb tab to hoga hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.