kabhi KHak hue un qadmon ki kabhi dil ko bichha kar raqs kiya
kabhī ḳhaak hue un qadmoñ kī kabhī dil ko bichhā kar raqs kiyā
use dekhā ḳhud ko bhuul ga.e lahrā lahrā kar raqs kiyā
tire hijr kī aag meñ jalte the ham angāroñ par chalte the
kabhī taptī ret pe nāche ham kabhī ḳhud ko jalā kar raqs kiyā
kyā ḳhuub mazā thā jiine meñ ik zaḳhm chhupā thā siine meñ
us zaḳhm ko khurchā nāḳhun se aur ḳhuun bahā kar raqs kiyā
vo jab na milā mehrāboñ meñ jise DhūñD rahe the ḳhvāboñ meñ
sajde se uThāyā sar apnā aur haath uThā kar raqs kiyā
kabhī thamtī hai kabhī chaḌhtī hai mirī mastī ghaTtī baḌhtī hai
kabhī ḳhāmoshī kabhī jhuum liye kabhī shor machā kar raqs kiyā
sab bastī jangal ho aa.e mastī meñ maqtal ho aa.e
vahāñ jang laḌī ḳhud se ham ne aur teġh chalā kar raqs kiyā
kahīñ merā ḳhudā nāpaid nahīñ kisī ḳhaas jagah kī qaid nahīñ
tasbīh paḌhī but-ḳhāne meñ mehrāb meñ aa kar raqs kiyā
kabhi KHak hue un qadmon ki kabhi dil ko bichha kar raqs kiya
use dekha KHud ko bhul gae lahra lahra kar raqs kiya
tere hijr ki aag mein jalte the hum angaron par chalte the
kabhi tapti ret pe nache hum kabhi KHud ko jala kar raqs kiya
kya KHub maza tha jine mein ek zaKHm chhupa tha sine mein
us zaKHm ko khurcha naKHun se aur KHun baha kar raqs kiya
wo jab na mila mehrabon mein jise DhunD rahe the KHwabon mein
sajde se uThaya sar apna aur hath uTha kar raqs kiya
kabhi thamti hai kabhi chaDhti hai meri masti ghaTti baDhti hai
kabhi KHamoshi kabhi jhum liye kabhi shor macha kar raqs kiya
sab basti jangal ho aae masti mein maqtal ho aae
wahan jang laDi KHud se hum ne aur tegh chala kar raqs kiya
kahin mera KHuda napaid nahin kisi KHas jagah ki qaid nahin
tasbih paDhi but-KHane mein mehrab mein aa kar raqs kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.