kabhi KHizan kabhi kaifiyyat-e-bahaar to hai
kabhī ḳhizāñ kabhī kaifiyyat-e-bahār to hai
ye dhuup chhāñv kā mausam bhī ḳhush-gavār to hai
havā chaman kī na raas aa sakī to is se kyā
hamāre ḳhuun se ḳhaak us kī lāla-zār to hai
ye aur baat ki fitrat ko said kar na sake
sabīl chunñe kā insāñ ko iḳhtiyār to hai
hamāre ġham kā mudāvā mile mile na mile
hamārī jehd se hāsil hameñ qarār to hai
sahāb-e-dard kā saaya ghanā hai aaj bahut
chaḌhegī dhuup magar kal ye e.atibār to hai
ye baat tai hai ki dil kā jumūd TūTegā
fazā-e-zehn pe chhāyā huā ġhubār to hai
nigāh-e-naqd kī taskīñ ke vāste 'jauhar'
mire kalām meñ talḳhī-e-ḳhush-gavār to hai
kabhi KHizan kabhi kaifiyyat-e-bahaar to hai
ye dhup chhanw ka mausam bhi KHush-gawar to hai
hawa chaman ki na ras aa saki to is se kya
hamare KHun se KHak us ki lala-zar to hai
ye aur baat ki fitrat ko said kar na sake
sabil chunne ka insan ko iKHtiyar to hai
hamare gham ka mudawa mile mile na mile
hamari jehd se hasil hamein qarar to hai
sahab-e-dard ka saya ghana hai aaj bahut
chaDhegi dhup magar kal ye eatibar to hai
ye baat tai hai ki dil ka jumud TuTega
faza-e-zehn pe chhaya hua ghubar to hai
nigah-e-naqd ki taskin ke waste 'jauhar'
mere kalam mein talKHi-e-KHush-gawar to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.