kabhi khona kabhi kho kar ke pana sath chalta hai
kabhi khona kabhi kho kar ke pana sath chalta hai
Safwat Ali Safwat
MORE BYSafwat Ali Safwat
kabhī khonā kabhī kho kar ke paanā saath chaltā hai
ye duniyā hai yahāñ par aanā jaanā saath chaltā hai
azal se aaj tak ye āshiqāna saath chaltā hai
mohabbat jis taraf jaa.e zamāna saath chaltā hai
magar ye qatl-o-ġhārat film nāTak kyā Drama hai
haqīqat talḳh hai itnī fasāna saath chaltā hai
vahī hai sharh-e-literacy vahī voter haiñ nā-ḳhvāñda
hukūmat par vahī qābiz gharānā saath chaltā hai
mohabbat falsafa hai amjad-e-islām apnā bhī
amal paiham magar ye kāfirāna saath chaltā hai
huī jaatī hai 'safvat' ḳhatm fikr-e-kisht-e-vīrāñ bhī
chale jaa.eñ jidhar ham āb-o-dāna saath chaltā hai
kabhi khona kabhi kho kar ke pana sath chalta hai
ye duniya hai yahan par aana jaana sath chalta hai
azal se aaj tak ye aashiqana sath chalta hai
mohabbat jis taraf jae zamana sath chalta hai
magar ye qatl-o-ghaarat film naTak kya Drama hai
haqiqat talKH hai itni fasana sath chalta hai
wahi hai sharh-e-literacy wahi woter hain na-KHwanda
hukumat par wahi qabiz gharana sath chalta hai
mohabbat falsafa hai amjad-e-islam apna bhi
amal paiham magar ye kafirana sath chalta hai
hui jati hai 'safwat' KHatm fikr-e-kisht-e-viran bhi
chale jaen jidhar hum aab-o-dana sath chalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.