kabhi KHurshid-e-ziya-bar hun main
kabhī ḳhurshīd-e-ziyā-bār huuñ maiñ
kabhī saaya pas-e-dīvār huuñ maiñ
ye jo kuchh rañg mirī zaat meñ haiñ
kaun samjhegā ki dushvār huuñ maiñ
nā-rasīda hai abhī merī mahak
shāḳh-e-nau-ḳhez digar ambār huuñ maiñ
hai koī naaz uThāne vaalā
ek TuuTā huā pindār huuñ maiñ
log yuuñ bach ke guzar jaate haiñ
jaise girtī huī dīvār huuñ maiñ
maiñ ne maanā ki bahut talḳh huuñ 'shauq'
apnā pairāya-e-iz.hār huuñ maiñ
kabhi KHurshid-e-ziya-bar hun main
kabhi saya pas-e-diwar hun main
ye jo kuchh rang meri zat mein hain
kaun samjhega ki dushwar hun main
na-rasida hai abhi meri mahak
shaKH-e-nau-KHez digar ambar hun main
hai koi naz uThane wala
ek TuTa hua pindar hun main
log yun bach ke guzar jate hain
jaise girti hui diwar hun main
main ne mana ki bahut talKH hun 'shauq'
apna pairaya-e-izhaar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.