kabhi KHushbu kabhi aawaz ban jaana paDega
kabhī ḳhushbū kabhī āvāz ban jaanā paḌegā
parindoñ ko kisī bhī shakl meñ aanā paḌegā
ḳhud apne sāmne aate hue hairān haiñ ham
hameñ ab is galī se ghuum kar jaanā paḌegā
use ye ghar samajhne lag ga.e haiñ rafta rafta
parindoñ se qafas āmāda karvānā paḌegā
udāsī vazn rakhtī hai jagah bhī ghertī hai
hameñ kamre ko ḳhālī chhoḌ kar jaanā paḌegā
maiñ pichhle bench par sahmā Darā baiThā huā huuñ
samajh meñ kyā nahīñ aayā ye samjhānā paḌegā
yahāñ dāman pe naqsha ban gayā hai āñsuoñ se
kisī kī justujū meñ duur tak jaanā paḌegā
ta.āruf ke liye chehra kahāñ se lā.eñge ham
agar chehra bhī ho to naam batlānā paḌegā
kahīñ sandūq hī tābūt ban jaa.e na ik din
hifāzat se rakhī chīzoñ ko phailānā paḌegā
ḳhudā-hāfiz buland āvāz meñ kahnā paḌegā
phir us āvāz se aage nikal jaanā paḌegā
jahāñ peshen-goī ḳhatm ho jā.egī āḳhir
abhī is raah meñ ik aur vīrāna paḌegā
ye jañgal baaġh hai 'ādil' ye daldal āb-e-jū hai
kahīñ kuchh hai jise tartīb meñ laanā paḌegā
kabhi KHushbu kabhi aawaz ban jaana paDega
parindon ko kisi bhi shakl mein aana paDega
KHud apne samne aate hue hairan hain hum
hamein ab is gali se ghum kar jaana paDega
use ye ghar samajhne lag gae hain rafta rafta
parindon se qafas aamada karwana paDega
udasi wazn rakhti hai jagah bhi gherti hai
hamein kamre ko KHali chhoD kar jaana paDega
main pichhle bench par sahma Dara baiTha hua hun
samajh mein kya nahin aaya ye samjhana paDega
yahan daman pe naqsha ban gaya hai aansuon se
kisi ki justuju mein dur tak jaana paDega
taaruf ke liye chehra kahan se laenge hum
agar chehra bhi ho to nam batlana paDega
kahin sanduq hi tabut ban jae na ek din
hifazat se rakhi chizon ko phailana paDega
KHuda-hafiz buland aawaz mein kahna paDega
phir us aawaz se aage nikal jaana paDega
jahan peshen-goi KHatm ho jaegi aaKHir
abhi is rah mein ek aur virana paDega
ye jangal bagh hai 'adil' ye daldal aab-e-ju hai
kahin kuchh hai jise tartib mein lana paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.