kabhi KHwahish na hui anjuman-arai ki
kabhī ḳhvāhish na huī anjuman-ārā.ī kī
koī kartā hai hifāzat mirī tanhā.ī kī
maiñ to gum apne nashe meñ thā mujhe kyā mā'lūm
kis ne muñh pher liyā kis ne pazīrā.ī kī
vo taġhāful bhī na thā aur tavajjoh bhī na thī
kabhī Tokā na kabhī hausla-afzā.ī kī
hichkiyāñ shām-e-shafaq-tāb kī thamtī hī na thiiñ
ab bhī ruk ruk ke sadā aatī hai shahnā.ī kī
ham se pahle bhī suḳhanvar hue kaise kaise
ham ne bhī thoḌī bahut qāfiya-paimā.ī kī
kabhi KHwahish na hui anjuman-arai ki
koi karta hai hifazat meri tanhai ki
main to gum apne nashe mein tha mujhe kya ma'lum
kis ne munh pher liya kis ne pazirai ki
wo taghaful bhi na tha aur tawajjoh bhi na thi
kabhi Toka na kabhi hausla-afzai ki
hichkiyan sham-e-shafaq-tab ki thamti hi na thin
ab bhi ruk ruk ke sada aati hai shahnai ki
hum se pahle bhi suKHanwar hue kaise kaise
hum ne bhi thoDi bahut qafiya-paimai ki
- Book : Auraaq-e-Khezani (Pg. 73)
- Author : Ahmad Mushtaq
- Publication : Rekhta Foundation (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.