kabhi kisi ko jo dekha kisi ki banhon mein
kabhī kisī ko jo dekhā kisī kī bāñhoñ meñ
tujhī ko yaad kiyā dil ne sard aahoñ meñ
isī umiid pe duniyā ko ham ne chhoḌ diyā
sukūn dil ko milegā tirī panāhoñ meñ
bahut hasīn thā bachpan kā vo zamāna bhī
koī hasīn kalī thī mirī nigāhoñ meñ
kiyā thā tū ne bhī mujh se nibāh kā vā'da
ye chāñd aur sitāre bhī haiñ gavāhoñ meñ
bahut dinoñ se chhupā hai vo chāñd jaane kahāñ
bahut dinoñ se añdherā hai dil kī rāhoñ meñ
'azāb-e-hijr na de ai ḳhudā-e-husn mujhe
mirī vafā ko bhī shāmil na kar gunāhoñ meñ
kabhi kisi ko jo dekha kisi ki banhon mein
tujhi ko yaad kiya dil ne sard aahon mein
isi umid pe duniya ko hum ne chhoD diya
sukun dil ko milega teri panahon mein
bahut hasin tha bachpan ka wo zamana bhi
koi hasin kali thi meri nigahon mein
kiya tha tu ne bhi mujh se nibah ka wa'da
ye chand aur sitare bhi hain gawahon mein
bahut dinon se chhupa hai wo chand jaane kahan
bahut dinon se andhera hai dil ki rahon mein
'azab-e-hijr na de ai KHuda-e-husn mujhe
meri wafa ko bhi shamil na kar gunahon mein
- Book : Mausam Badal Raha Hai (Pg. 86)
- Author : Zafar Ansari Zafar
- Publication : Educational Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.