kabhi kisi se na humne koi gila rakkha
kabhī kisī se na ham ne koī gila rakkhā
hazār zaḳhm sahe aur dil baḌā rakkhā
charāġh yuuñ to sar-e-tāq-e-dil ka.ī the magar
tumhārī lau ko hamesha zarā judā rakkhā
ḳhirad se pūchhā junūñ kā mo.āmla kyā hai
junūñ ke aage ḳhirad kā mo.āmla rakkhā
ḳhayāl ruuh ke ārām se haTāyā nahīñ
jo ḳhaak thā so use ḳhaak meñ milā rakkhā
hazār shukr tirā ai mire ḳhudā-e-junūñ
ki mujh ko rāh-e-ḳhirad se gurez-pā rakkhā
chhapā huā nahīñ tujh se dil-e-tabāh kā haal
ye kam nahīñ ki tire rañj ko bachā rakkhā
vo ek zulf ki lipTī rahī rag-e-jāñ se
vo ik nazar ki hameñ jis ne mubtalā rakkhā
bas ek aan meñ guzrā maiñ kis taġhayyur se
kisī ne sar pe tavajjoh se haath kyā rakkhā
sunā.ī apnī kahānī baḌe salīqe se
kahīñ kahīñ pe fasāne meñ vāqi.a rakkhā
sunā jo shor ki vo shīsha-gar kamāl kā hai
to ham lapak ke ga.e aur qalb jā rakkhā
maiñ jāntā thā ki duniyā jo hai vo hai hī nahīñ
so ḳhud ko ḳhvāhish-e-duniyā se māvarā rakkhā
mire junūñ ne kiye radd vajūd aur adam
alag hī tarah se hone kā silsila rakkhā
ḳhushī sī kis ne hamesha malāl meñ rakkhī
ḳhushī meñ kis ne hamesha malāl sā rakkhā
kabhī na hone diyā tāq-e-dil ko be-raunaq
charāġh ek bujhā aur dūsrā rakkhā
nigāh-dār mirā thā mire sivā na koī
so apnī zaat pe pahrā bahut kaḌā rakkhā
tū paas thā to rahe mahv dekhne meñ tujhe
visāl ko bhī tire hijr par uThā rakkhā
tirā jamāl to tujh par kabhī khulegā nahīñ
hamāre ba.ad batā aa.ine meñ kyā rakkhā
har ek shab thā yahī tere ḳhush-gumān kā haal
diyā bujhāyā nahīñ aur dar khulā rakkhā
hamīñ pe faash kiye rāz-hā-e-harf-o-suḳhan
to phir hameñ hī tamāshā sā kyuuñ banā rakkhā
milā thā ek yahī dil hameñ bhī aap ko bhī
so ham ne ishq rakhā aap ne ḳhudā rakkhā
ḳhizāñ thī aur ḳhizāñ sī ḳhizāñ ḳhudā kī panāh
tirā ḳhayāl thā jis ne harā-bharā rakkhā
jo nā-gahāñ kabhī izn-e-safar huā 'irfān'
to fikr kaisī ki sāmān hai bañdhā rakkhā
kabhi kisi se na hum ne koi gila rakkha
hazar zaKHm sahe aur dil baDa rakkha
charagh yun to sar-e-taq-e-dil kai the magar
tumhaari lau ko hamesha zara juda rakkha
KHirad se puchha junun ka moamla kya hai
junun ke aage KHirad ka moamla rakkha
KHayal ruh ke aaram se haTaya nahin
jo KHak tha so use KHak mein mila rakkha
hazar shukr tera ai mere KHuda-e-junun
ki mujh ko rah-e-KHirad se gurez-pa rakkha
chhapa hua nahin tujh se dil-e-tabah ka haal
ye kam nahin ki tere ranj ko bacha rakkha
wo ek zulf ki lipTi rahi rag-e-jaan se
wo ek nazar ki hamein jis ne mubtala rakkha
bas ek aan mein guzra main kis taghayyur se
kisi ne sar pe tawajjoh se hath kya rakkha
sunai apni kahani baDe saliqe se
kahin kahin pe fasane mein waqia rakkha
suna jo shor ki wo shisha-gar kamal ka hai
to hum lapak ke gae aur qalb ja rakkha
main jaanta tha ki duniya jo hai wo hai hi nahin
so KHud ko KHwahish-e-duniya se mawara rakkha
mere junun ne kiye radd wajud aur adam
alag hi tarah se hone ka silsila rakkha
KHushi si kis ne hamesha malal mein rakkhi
KHushi mein kis ne hamesha malal sa rakkha
kabhi na hone diya taq-e-dil ko be-raunaq
charagh ek bujha aur dusra rakkha
nigah-dar mera tha mere siwa na koi
so apni zat pe pahra bahut kaDa rakkha
tu pas tha to rahe mahw dekhne mein tujhe
visal ko bhi tere hijr par uTha rakkha
tera jamal to tujh par kabhi khulega nahin
hamare baad bata aaine mein kya rakkha
har ek shab tha yahi tere KHush-guman ka haal
diya bujhaya nahin aur dar khula rakkha
hamin pe fash kiye raaz-ha-e-harf-o-suKHan
to phir hamein hi tamasha sa kyun bana rakkha
mila tha ek yahi dil hamein bhi aap ko bhi
so hum ne ishq rakha aap ne KHuda rakkha
KHizan thi aur KHizan si KHizan KHuda ki panah
tera KHayal tha jis ne hara-bhara rakkha
jo na-gahan kabhi izn-e-safar hua 'irfan'
to fikr kaisi ki saman hai bandha rakkha
- Book : Takrar-e-imkaa.n (Pg. 82)
- Author : Irfan Sattar
- Publication : Dehleez Publication (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.