kabhi kuchh kahen ye ijazat hi dije
kabhī kuchh kaheñ ye ijāzat hī diije
na diije mohabbat adāvat hī diije
mirī aañkh kā vo chhalaknā dikhā kyā
kisī roz hamdam ye rāhat hī diije
zamāna dikhātā hai aisī balā.eñ
kabhī aap dil ko aqīdat hī diije
batānā hai mushkil chhupānā hai mushkil
kareñ kyā o rahbar nasīhat hī diije
taġhāful milā hai usī raah par yuuñ
tavajjoh na diije ināyat hī diije
use raushnī kā gumāñ ho savere
na 'ḳhuddār' ko aisī zulmat hī diije
kabhi kuchh kahen ye ijazat hi dije
na dije mohabbat adawat hi dije
meri aankh ka wo chhalakna dikha kya
kisi roz hamdam ye rahat hi dije
zamana dikhata hai aisi balaen
kabhi aap dil ko aqidat hi dije
batana hai mushkil chhupana hai mushkil
karen kya o rahbar nasihat hi dije
taghaful mila hai usi rah par yun
tawajjoh na dije inayat hi dije
use raushni ka guman ho sawere
na 'KHuddar' ko aisi zulmat hi dije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.