kabhi lagawaT kabhi adawat mujhe ijazat
kabhī lagāvaT kabhī adāvat mujhe ijāzat
tujhe hai sūjhī na.ī sharārat mujhe ijāzat
maiñ aa.ine ko qarīb lā ke zarā jo rakkhūñ
badalne lagtī hai terī sūrat mujhe ijāzat
har ek tujh ko bahut hai pyārā bahut hī pyārā
maiñ jāntā huuñ ye terī aadat mujhe ijāzat
tirī talab meñ jahān saarā yahāñ khaḌā hai
mujhe ijāzat mujhe ijāzat mujhe ijāzat
tumhāre lahje kī sard-mehrī to kam na hogī
ThiThur ga.ī hai mirī samā.at mujhe ijāzat
yahāñ to bas haiñ tamām dānish-varān-e-ulfat
sunūñ maiñ kis kis kī ab ḳhitābat mujhe ijāzat
maiñ apne hāthoñ se likkhe kāġhaz jalā.ūñ kaise
tujhe mubārak tirī ye jur.at mujhe ijāzat
koī gila hai na koī shikva na koī ranjish
jahāñ raho tum raho salāmat mujhe ijāzat
badal badal ke charāġh rakkhe haiñ tāqchoñ par
qubūliyat kī na aa.ī saa.at mujhe ijāzat
pukār lenā bilā-jhijak tum mujhe kahīñ bhī
agar paḌe jo mirī zarūrat mujhe ijāzat
kabhi lagawaT kabhi adawat mujhe ijazat
tujhe hai sujhi nai shararat mujhe ijazat
main aaine ko qarib la ke zara jo rakkhun
badalne lagti hai teri surat mujhe ijazat
har ek tujh ko bahut hai pyara bahut hi pyara
main jaanta hun ye teri aadat mujhe ijazat
teri talab mein jahan sara yahan khaDa hai
mujhe ijazat mujhe ijazat mujhe ijazat
tumhaare lahje ki sard-mehri to kam na hogi
ThiThur gai hai meri samaat mujhe ijazat
yahan to bas hain tamam danish-waran-e-ulfat
sunun main kis kis ki ab KHitabat mujhe ijazat
main apne hathon se likkhe kaghaz jalaun kaise
tujhe mubarak teri ye jurat mujhe ijazat
koi gila hai na koi shikwa na koi ranjish
jahan raho tum raho salamat mujhe ijazat
badal badal ke charagh rakkhe hain taqchon par
qubuliyat ki na aai saat mujhe ijazat
pukar lena bila-jhijak tum mujhe kahin bhi
agar paDe jo meri zarurat mujhe ijazat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.