kabhi likhta hun main un ko agar KHat
kabhī likhtā huuñ maiñ un ko agar ḳhat
chalā jaatā hai qāsid bhuul kar ḳhat
nahīñ āzād kar sakte hameñ vo
lakīreñ apne māthe kī haiñ sar ḳhat
jo tum be-e'tinā.ī se na likhte
na detā ham ko qāsid pheñk kar ḳhat
mirī qismat se bhūlā naam qāsid
na likhte tum to varna umr bhar ḳhat
ḳhushī se uTh ke 'anjum' paañv chūmūñ
ki laayā yaar kā hai nāma-bar ḳhat
kabhi likhta hun main un ko agar KHat
chala jata hai qasid bhul kar KHat
nahin aazad kar sakte hamein wo
lakiren apne mathe ki hain sar KHat
jo tum be-e'tinai se na likhte
na deta hum ko qasid phenk kar KHat
meri qismat se bhula nam qasid
na likhte tum to warna umr bhar KHat
KHushi se uTh ke 'anjum' panw chumun
ki laya yar ka hai nama-bar KHat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.