kabhi madhur kabhi miThi zaban ka shair hun
kabhī madhur kabhī mīThī zabāñ kā shā'ir huuñ
isī sanad se maiñ hindostāñ kā shā'ir huuñ
dikheñge mujh meñ tumheñ zaḳhm ghaav dono hī
ḳhilāf-e-zulm ke aajiz bayāñ kā shā'ir huuñ
maiñ apnī fikr ko mahdūd rakh nahīñ saktā
zamīn-o-arsh makīn-o-makāñ kā shā'ir huuñ
gumān kahtā hai ke maiñ yaqīñ kā shā'ir huuñ
yaqīn kahtā hai ke maiñ gumāñ kā shā'ir huuñ
jahāñ hai zarra qamar aur jahāñ qamar zarra
maiñ us zamīñ kā maiñ us āsmāñ kā kā shā'ir huuñ
abhī mujhe na suḳhanvar kaho mire ahbāb
abhī suḳhan meñ faqat imtihāñ kā shā'ir huuñ
mujhe na dekho yuuñ nafrat bharī nigāhoñ se
maiñ 'hāshmī' huuñ maiñ amn-o-amāñ kā shā'ir huuñ
kabhi madhur kabhi miThi zaban ka sha'ir hun
isi sanad se main hindostan ka sha'ir hun
dikhenge mujh mein tumhein zaKHm ghaw dono hi
KHilaf-e-zulm ke aajiz bayan ka sha'ir hun
main apni fikr ko mahdud rakh nahin sakta
zamin-o-arsh makin-o-makan ka sha'ir hun
guman kahta hai ke main yaqin ka sha'ir hun
yaqin kahta hai ke main guman ka sha'ir hun
jahan hai zarra qamar aur jahan qamar zarra
main us zamin ka main us aasman ka ka sha'ir hun
abhi mujhe na suKHanwar kaho mere ahbab
abhi suKHan mein faqat imtihan ka sha'ir hun
mujhe na dekho yun nafrat bhari nigahon se
main 'hashmi' hun main amn-o-aman ka sha'ir hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.