kabhi main chalun kabhi tu chale kabhi be-maza ye safar na ho
kabhi main chalun kabhi tu chale kabhi be-maza ye safar na ho
Achyutam Yadav
MORE BYAchyutam Yadav
kabhī maiñ chalūñ kabhī tū chale kabhī be-maza ye safar na ho
kise manziloñ kī talāsh hai hameñ chalte rahne kā Dar na ho
kahāñ shab hai aur kahāñ sahar kahāñ dhuup aur kahāñ chāñdnī
maiñ tire gumān meñ hī rahūñ mujhe in sabhī kī ḳhabar na ho
ye jo āñsuoñ kā lifāfa hai ka.ī dard is meñ pale baḌhe
kabhī jhāñk le mirī aañkh meñ tujhe e'tibār agar na ho
na 'ayāñ huiiñ mirī ḳhāmiyāñ na 'ayāñ huiiñ tirī ḳhāmiyāñ
koī karnā chāhe bhī gar 'ayāñ to sadā meñ us kī asar na ho
kabhi main chalun kabhi tu chale kabhi be-maza ye safar na ho
kise manzilon ki talash hai hamein chalte rahne ka Dar na ho
kahan shab hai aur kahan sahar kahan dhup aur kahan chandni
main tere guman mein hi rahun mujhe in sabhi ki KHabar na ho
ye jo aansuon ka lifafa hai kai dard is mein pale baDhe
kabhi jhank le meri aankh mein tujhe e'tibar agar na ho
na 'ayan huin meri KHamiyan na 'ayan huin teri KHamiyan
koi karna chahe bhi gar 'ayan to sada mein us ki asar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.