kabhi main KHud se kabhi dusron se uljha hun
kabhī maiñ ḳhud se kabhī dūsroñ se uljhā huuñ
tirī talab meñ har ik marhale se guzrā huuñ
ḳhayāl tujh se bichhaḌne kā jab bhī aaya hai
maiñ terī yaad se pahroñ lipaT ke royā huuñ
tire alāva nazar meñ koī jachā hī nahīñ
bichhaḌ ke tujh se maiñ har anjuman meñ tanhā huuñ
payambarī kā hai da.avā na shā.erī pe ġhurūr
hadīs-e-dard ġhazal kī zabāñ meñ kahtā huuñ
na tū hai misl-e-zuleḳhā na misl-e-yūsuf maiñ
nigāh bhar ke mujhe dekh le maiñ terā huuñ
ḳhush-e'tiqād huuñ maiñ bhī use bhī ḳhush-fahmī
na vo ḳhudā kī tarah hai na maiñ farishta huuñ
kabhi main KHud se kabhi dusron se uljha hun
teri talab mein har ek marhale se guzra hun
KHayal tujh se bichhaDne ka jab bhi aaya hai
main teri yaad se pahron lipaT ke roya hun
tere alawa nazar mein koi jacha hi nahin
bichhaD ke tujh se main har anjuman mein tanha hun
payambari ka hai dawa na shaeri pe ghurur
hadis-e-dard ghazal ki zaban mein kahta hun
na tu hai misl-e-zuleKHa na misl-e-yusuf main
nigah bhar ke mujhe dekh le main tera hun
KHush-e'tiqad hun main bhi use bhi KHush-fahmi
na wo KHuda ki tarah hai na main farishta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.